donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kiran ki teh meiN shuaoN kay silsiley nikley *
kiran ki teh meiN shuaoN kay silsiley nikley
thi eik fikr magar kitney zaaviye nikley
 
falak meiN lakhoN sitarey chamak rahey they magar
mirey naseeb meiN jitney they sab bujhey nikley
 
samajh rahey they safar ka hai ikhtTaam jahaN
wahaN pahunch kay kayee aur raastey nikley
 
yeh kaun haiN jo saroN ko uthhaye su-e-falak
kisi zawaal kay darya meiN doobney nikley?
 
khizaN kay sog sey ubhera phir ik udaas shajar
baRehna shakhoN sey jab khwab kuchh naye nikley
 
yahaN to biktey haiN sab BUT dhaley-dhalaye huye
aur eik hum haiN ke paththar taraashney nikley
 
ab inki khair manaao ke ;Shaad; yeh jugnu
andheri shab ka muqaddar ujaalney nikley
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346