donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aks ki bhi aankheiN bhar aaeiN aisi aankhoN sey mat dekh *
Aks ki bhi aankheiN bhar aaeiN aisi aankhoN sey mat dekh
Aaieney meiN apna chehra bheegi aankhoN sey mat dekh
 
tukh ko shaayad ilm nahiN hai gehan laga suraj hooN meiN
andha ho jayega mujh ko naNgi aankhoN sey mat dekh
 
maujoN ki yalghaar sey larh,koshish kar baahar aaney ki
saahil kay yeh dilkash manzar doobi aankhoN sey mat dekh
 
shab ki taareeki meiN ik aawaz ney yeh sargoshi ki
meiN ummmeed ki kiran hooN mujh ko bujhti aankhoN sey mat dekh
 
aakhir tu bhi ho hi gaya bezaar suneharey khwaboN sey
kitna samjhaaya tha in ko gehri aankhoN sey mat dekh
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 339