donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kab talak yuNhi mujhey khaak-ba-sar chaahti hai ? *
kab talak yuNhi mujhey khaak-ba-sar chaahti hai ?
aye thakan, poochh to kya raahguzar chaahti hai?
 
pehley kam parhhti thi ik dasht ki wusAt bhi isey
ab yeh wahshat dar o deewar meiN ghar chaahti hai
 
koi ummeed ki soorat nahiN baaqi dil mein
koi ummeed magar dil meiN basar chaahti hai
 
roz manoos manaazir sey lipati hai magar
ik tamaasha bhi naya roz nazar chaahti hai
 
bojh lagtey haiN tabiat ko yeh yaksaaN lamhey
aisey maahol sey ab rooh mafar chaahti hai
 
ghar sey Suraj ko nikalney ki ijazat hi na ho
teeragi apni hi shartoN pe sehar chaahti hai
 
;Shaad; yeh fikr kisi taur nahiN maanti hai
har Sadaf meiN koi nayaab Guhar chaahti hai
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 446