donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ik yahee meeras thi apni, isey kya bantTey? *
ik yahee meeras thi apni, isey kya bantTey?
kyuN kisi kay sath hum yeh dard apna bantTey?
 
apni apni dhoop lay kar jal rahey haiN ab sabhi
kaash sab mil jul kay in pairhhoN ka saya bantTey
 
phir bahut aasan ho jata safar ehsaas ka
is musafat meiN agar kuchh tum bhi rasta bantTey
 
ghar ki har deewar par ik aaiena mojood tha
kaisey itney zavioN meiN eik chehra bantTey?
 
baat to jab thi ke tum bhi sath jaltey raat bhar
aur in jaltey chiraghoN ka andheira bantTey
 
dil ka sara dard lafzoN kay hawley kar diya
;Shaad: do misroN meiN hum bhi aur kitna bantTey?
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355