donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zarf mera dekh. sab kuchh dekh kar khaamosh hooN *
zarf mera dekh. sab kuchh dekh kar khaamosh hooN
kis qadar hai shor mujh meiN.kis qadar khaamosh hoon?
 
meri khaamoshi mira radd e amal hargiz nahiN
mat samajhna teri janib hooN agar khaamosh hooN
 
tuney hi tashHeer kar di gham ki sab kay saamney
mein to is shiddat meiN bhi aye chashm e tar khaamosh hooN
 
janey kaisi be-hisi mujh par musallat ho gayee?
sar-ba-sar jalta hooN lekin sar -ba-sar khaamosh hooN
 
aye miri majrooh ghairet, darguzar kar dey mujhey
tera mujrim hooN, tirey is haal par khaamosh hooN
 
;Shaad; merey gird be-aahang aawazoN ka shor
aur mein har ik sada sey be-khabar khaamosh hooN
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392