donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Agar mein apni nazroN meiN zara sa kam hi ho jata *
Agar mein apni nazroN meiN zara sa kam hi ho jata
to phir us dhoop ki parchhaioN meiN zam hi ho jata
 
mein apni zaat ki sargoshioN ki baat sun leta
agar atraaf ka yeh shor kuchh madhdham hi ho jata
 
agar yuN be-dili sey muskura kar roz milna tha
to phir is sey to achchha tha ke woh barham hi ho jata
 
kisi chhatnar bargad kay taley aaram kar letey
kabhi is be-karaaN sehra meiN woh mausam hi ho jata
 
samandar sey bhi to yeh dhoop mujh ko ley urhhi aakhir
bura kya tha agar ik phool par shabnam hi ho jata
 
barasney ka saleeqa hi nahiN aata in aankhoN ko
wagarna ein mumkin tha woh paththar nam hi ho jata
 
sabab hai ;Shaad; yeh teri Ana jarhh sey ukharhhney ka
agar aandhi muqabil thi to thorha kham hi ho jata
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395