donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yeh JugnuoN ka tamaasha to bas kuchh ik pal hai *
yeh JugnuoN ka tamaasha to bas kuchh ik pal hai
phir us kay baad andheira hai aur Jangal hai
 
guzar raha hai yeh kin marhaloN sey wahshat kay?
pata lagao yeh kis NauiEt ka paagal hai?
 
tu khud ko lay kay kabhi aa khuli fazaaoN meiN
na janey kab sey isi habs meiN muqaffal hai
 
safar mira yeh zara mukhtalif hai auroN sey
ZameeN nahiN , mirey pairoN kay neechey Daldal hai
 
usi Nasheib ki janib uterta jata hooN
woh ik Nasheib jahaN Roshni ka maqtal hai
 
zaroor donoN meiN kuchh to hai mushtarak aye ;Shaad:
udaas mein hi nahiN , us ka Dil bhi bojhal hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 443