donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nikal wajood ki is had sey, be-karaN ho ja *
Nikal wajood ki is had sey, be-karaN ho ja
bas ik chiragh sa jal aur phir dhuaN ho ja
 
mirey qareeb sey ho kar agar guzarna hai
mirey mizaj kay mausam ka raazdaN ho ja
 
tu apney dil ki sadaoN ko mustrad kar dey
yeh maslehat ka taqaza hai be-zubaN ho ja
 
kisi kay naqsh e qadam par koi nahiN chalta
mita dey sarey naqoosh aur be-nishaN ho ja
 
yeh log hadd e nazar par yaqeen rakhtey haiN
tu apni khaak sey uthh aur AasmaN ho ja
 
yeh aasra bhi nahiN kam  kisi thakan kay liye
ke dasht meiN kisi khaimey ka saaibaN ho ja
 
yeh be-hunar tiri qeemat lagaaney aaye haiN
yahi hai haq meiN tirey ;Shaad; raaigaN ho ja
 
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405