donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mirey mizaj ka baar e garaaN uthhaye kyuN? *
mirey mizaj ka baar e garaaN uthhaye kyuN?
khafa hooN khud sey to dunia mujhey manaye kyuN?
 
zaroor mujh sa koi dukh tujhey bhi hai Suraj
isi nasheib meiN utrey terey bhi saye kyuN?
 
woh izterab ke jis ka koi jawaaz nahiN
mirey wajood pe yuN apna haq jataye kyuN?
 
palat kay dekha nahiN tha safar pe jatey huye
ab apney ehad e guzishta meiN laut aaye kyuN?
 
kaha yeh Chaand ney shab sey ke be-zarar hi sahi
yeh JugnuoN kay diye bhi magar jalaye kyuN?
 
Ana parast hai woh bhi to ;Shaad: meri tarah
shikast e khwaab ka manzar mujhey dikhaye kyuN?
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 422