donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab bhi ik khwahish ki dhalti dhoop ka saaya hai tu *
Ab bhi ik khwahish ki dhalti dhoop ka saaya hai tu
be-niazi mein bhi kab dunia sey kat paaya hai tu?
 
haaN wahi Aaiena hooN meiN jis-sey thi nafrat tujhey
kaun sa moonNh lay kay merey saamney aaya hai tu?
 
AabgeenoN kay bikherney ka tamasha dekh ley
dekh ley kin raaigaN khwaboN pe itraaya hai tu?
 
teri qeemat kuchh bhi ho bazaar mein par yaad rakh
saari zeibaai sadaf ki kokh sey laaya hai tu
 
ik junoon e raaigaN ko aagahi kehta raha
zehn o dil ki kashmakash mein kitna bharmaaya hai tu?
 
har taraf bikhri parhhi haiN kyuN yeh teri dhajjiaN?
kin tamannaoN ki chattanoN sey takraaya hai tu?
 
bhool ja, ab saahiloN kay manzaroN ko bhool ja
ik Samandar kay safar par ab nikal aaya hai tu
 
tuney sab SONA luta dala hai apni dhoop ka
shab kay ghaaroN mein parhha ab kitna be-maaya hai tu
 
be-sar o samaanioN mein bhi to kaTtey haiN safar
;Shaad; kyuN rakht e garaaN ghar sey uthha laaya hai tu?
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369