donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bas itni takraar hai baaham,bas itna sa jhagrhha hai *
Bas itni takraar hai baaham,bas itna sa jhagrhha hai
Zaahir Duniadaar bahut hai, Baatin seedha-saada hai
 
dekheiN pehley sanad milti hai kisko Dunia waloN sey?
ik pehchaan miri tehreereiN.ik pehchaan yeh chehra hai
 
phir ik baar Hawa ki khatir Sheeraza tayyar kiya
apney gird o peish sey khud ko phir ik baar sameta hai
 
Ghar badla aur naye sirey us ghar ki aaraish ki
lekin Dil kay baam o dar par ab bhi wahi sannata hai
 
apni hi ruswaai hai, yeh kehney wali baat nahiN
mujh ko Chaand ka bheis bana kar ik Jugnu ney loota hai
 
apni Zaat sey baahar niklooN, phir Dunia taskheer karooN
saat Samandar paar to kar looN lekin pehley Darya hai
 
;Shaad; abhi tak yaad hai uska ik ik naqsh in AankhoN ko
eik musalsal khwaab jo humney be-daari meiN dekha hai
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 484