donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mirey naseeb ney kar kay shikasta-par mujh ko *
mirey naseeb ney kar kay shikasta-par mujh ko
ata kiya hai khalaaoN ka yeh safar mujh ko
 
yeh khud-shanaasi bhi aakhir kahaN pe lay aayee?
ke apney aap sey lagney laga hai Dar mujh ko
 
ik aisi aag jo pal bhar meiN raakh kar daaley
ik aisi aag meiN jalna hai umr bhar mujh ko
 
ik inteshaar ka anjaam yeh hua aakhir
hawaeiN ab liye phirti haiN dar ba dar mujh ko
 
woh jin sey ashk bhi miltey they ehatraam kay sath
miliN haiN aaj woh aankheiN lahoo meiN tar mujh ko
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367