donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kisi paththar sey takraney ka khamyaza hai shayad *
kisi paththar sey takraney ka khamyaza hai shayad
yeh mujh meiN muntashir mera hi sheeraza hai shayad
 
hisaar e zaat meiN aakar muqayyad ho gaya hooN
meiN samjha tha nikalney ka bhi darwaaza hai shayad
 
yeh jin nazroN sey merey aks ney dekha hai mujh ko
isey kuchh dil ki haalat ka bhi andaaza hai shayad
 
bujhey ehsaas meiN kircheiN si jo chubhney lagi haiN
purani chaut meiN ik dard yeh taza hai shayad
 
bahut dhundla dikhai dey raha hai jo yeh suraj
ghubaar e shab ka chehrey par abhi ghaza hai shayad
 
zameeN ab ;Shaad; jo baaqi nahiN pairoN kay neechey
khala meiN rang bharney ka yeh khamyaza hai shayad
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 375