donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dena hai to nigah ko aisi rasaayi de *
Dena hai to nigah ko aisi rasaayi de
Mei.n dekhu.N aayina to mujhay tu dikhayi de

Kash aisa taal-mail sukut o sadaa me ho
Usko pukaruu.N mei.n to usii ko sunaayi de

Ay kash us mukam pe pahu.Ncha de uska piyar
Voh kaamyaab honay pe mujhko badhayi de

Mujrim hai soch-soch,gunahgaar saaNs-saaNs
Koyi safaayi de to kahaN tak safaayi de

Her aanay-jaanay walay se batai.n teri sunuu.N
Ye bhiik hai bahut mujhay dar ki gadaayi de

Ya ye bata ke kiya hai mera maqsad-e-hayaat
Ya zindagi ki qaid se mujhko rihaayi de

Kuch ehtraam apnii a'na ka bhi 'Noor' kar
Yuu.N baat- baat par na kisi ki duhayi de
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 540