donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tasliim ke zaalim kii jafa bhi hai koyii chiiz *
Tasliim ke zaalim kii jafa bhi hai koyii chiiz
sab bhuul gaye hai.n ke duaa bhii hai koyii chiiz

har chand ke dil ko kisii suurat nahii.n manzuur
mehsuus to hota hai khuda bhii hai koyii chiiz

zinda huu.N magar jiine mei.n kuCh lutf nahii.n hai
naakarda gunaaho.n kii saza bhii hai koyii chiiz

ghar se nahii.n nikloge toh mar jaaoge ghuT ke
saa.Nso.n ke liye taaza hawa bhii hai koyii chiiz

daulat ke liye kitna gunaaho.n mei.n sanaa hai
insaan se kahdo ke fanaa bhii hai koyii chiiz

jiine ko kisii tarah sabhii jiite hai.n lekin
is ehd mei.n jiine kii kala bhii hai koyii chiiz

tauba pe baDaa naaz tha mujho bhi magar yaar
woh mast nazar shokh adaa bhii hai koyii chiiz

sach bolna achCha hai magar dhyaan rahe 'Noor'
kahte hai.n zamaane kii hawa bhii hai koyii chiiz
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 486