donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tez ho jaata hai khushboo ka safar shaam ke baad *
Tez ho jaata hai khushboo ka safar shaam ke baad
phuul shahro.n mei.n bhi khilte hai.n magar shaam ke baad

usse daryaaft na karna kabhi din ke haalaat
sub'ha ka bhuula jo lauT aaya ho ghar shaam ke baad

din tere hijra mei.n kaT jaata hai jaise-taise
mujhse rahtii hai khafaa merii nazar shaam ke baad

qad se baDh jaaye jo saaya to buraa lagtaa hai
apanaa suuraj woh uThaa leta hai har shaam ke baad

tum na kar paaoge andaaza tabaahii ka merii
tumne dekha hii nahii.n koyii kha.NDar shaam ke baad

mere baare mei.n koyii kuCh bhi kahe sab manzuur
mujhko rahtii hii nahii.n apnii khabar shaam ke baad

ye hii milne ka samay bhi hai biChaDne ka bhi
mujhko lagtaa hai bahut apne se Dar shaam ke baad

tiiragii ho to vujuud uskaa chamakta hai bahut
DhuuND to lunga use 'Noor' magar shaam ke baad
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 606