donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ho ke bechain mai.n bhaaga kiya aahuu ki tarah *
Ho ke bechain mai.n bhaaga kiya aahuu ki tarah
bass gaya tha mere andar koyii khushbuu ki tarah

merii aawaaz tujhe CHuu ley bass itanii mohlat
tere kuuchey se guzar jaauunga saadhuu kii tarah

who jo aa jaaye to kyaa hosh ka aalam hoga
jiske aaney kii khabar phailii hai khushbuu kii tarah

zindagii pyaar wafaa sabkaa muqaddar yaksaa.N
muskuraahaT kii tarah hai kabhii aa.Nsuu kii tarah

shayarii terii ibaadat ke sivaa kuCh bhii nahii.n
kar rahaa huu.N mai.n tapasyaa kisii saashuu kii tarah

harr alam saath rahaa gard-e-safar kii maanind
harr khushii raah mai.n mujhko milii jugnuu kii tarah

zindagii Thokarei.n khaatii hai biChaD kar tujhse
terii paazeb ke TuuTe huye ghungruu kii tarah

koyii Ishwar kahe usko ke khudaa koyi kahe 
woh musalmaa.N kii tarah hai na who hinduu kii tarah

apnii harr saa.Ns pe ehsaa.N liye hamdardo.n ka
zindagii jiita huu.N is ehad mei.n urduu kii tarah

ab ye ehsaas kii khuubii ho ke khaamii ho ‘NOOR’
uskii nafrat ka dhuaa.N bhi lagaa khushbuu kii tarah
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 574