donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne hone ka subuut aur nishaa.N Chhorhti hai *
Apne hone ka subuut aur nishaa.N Chhorhti hai
raasta koyi nadii yuu.N hii kahaa.N Chhorhti hai

nashe Duubey koyi ,koyi jiye koyi mare
tiir kyaa-kyaa terii aa.Nkho.n kii kamaa.N Chhorhti hai

ba.nd aa.Nkho.n ko nazar aatii hai jaag uThati hai
raushnii aisii har aawaz-e-azaa.N Chhorhti hai

khud bhi kho jaatii hai, miT jaati hai, mar jaatii hai
jab koyi qaum kabhi apnii zabaa.N Chhorhti hai

aatma naam hi rakhti hai na mazhab koyi
woh toh marti bhi nahii.n sirf makaa.N Chhorhti hai

eik din sab ko chukaana hai anaasir ka hisaab
zindagii Chhorh bhi de maut kahaa.N Chhorhti hai

marne waalo.n ko bhi milte nahii marne waale
maut le jaake khuda jaane kahaa.N Chhorhti hai

zabt-e-gham khel nahii.n hai abhi kaise samjhaau.N
dekhnaa merii chitaa kitnaa dhuaa.N Chhorhti hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 684