donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh lab ki jaise sagar-o-sahba dikhai de, *
Woh lab ki jaise sagar-o-sahba dikhai de, 
jumbish jo ho to jaam chalakta dikhai de,

dariya mai'n yu'n to hote hai'n qatre hi qatre sab, 
qatra wahi hai jismai'n ke dariya dikhai de,

kyu'n aina kahe use patthar na kyu'n kahe, 
jis aine mai'n aks na uska dikhai de,

us tashna-lab ki nind na toote dua karo, 
jis tashna-lab ko Khwab mai'n dariya dikhai de,

kaisi ajeeb shart hai didar ke liye, 
aankhei'n jo band ho to wo jalwa dikhai de,

kya husn hai, jamal hai, kya rang-roop hai, 
wo bhirh mai'n bhi jaye to tanha dikhai de.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 588