donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Krishan Bihari Noor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nazar mila na sake us se us nigah ke baad, *
Nazar mila na sake us se us nigah ke baad, 
wahi hai haal hamara jo ho gunah ke baad,

mai kaise aur kis simt morhta Khud ko, 
kisi ki chah na thi dil mai'n teri chaah ke baad,

zamer kanp to jata hai aap kuchh bhi kahe'n ,
wo ho gunah se pahle ke ho gunah ke baad,

kati hui thi tanabe tamam rishto ki, 
chhupata sar mai kaha'n tujhse rasm-o-rah ke baad,

hawas ne torh di barso ki sadhana meri, 
gunah kiya hai ye jana magar gunah ke baad,

gawah chah rahe the wo begunahi ka, 
zubaa se kah na saka kuch Khuda-gawah ke baad,


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 729