|
* Bas ek waqt ka Khanjar meri talash mai'n hai, *
Bas ek waqt ka Khanjar meri talash mai'n hai,
jo roz bhes badal kar meri talash mai'n hai,
mai'n katra hoo'n mera alag wajood to hai,
hua kare jo samandar meri talash mai'n hai,
mai'n dewta ki tarah qaid apne mandir mai'n,
wo mere jism ke bahar meri talash mai'n hai,
mai jiske hath mai'n ik phool deke aaya tha,
usi ke haath ka patthar meri talash mai'n hai.
|
|