|
* tum hamare nahi to kya gham hai *
tum hamare nahi to kya gham hai
ham tumhaare to hain yah kya kam hai
muskura do zara khuda ke liye,
shaam-e-mahafil men roushni kam hai,
abhi vo kamasin ubhar raha hai, abhi hai us par shabaab aadha
abhi jigar men khalish hai aadhi, abhi hai mujh par aitmaad1 aadha
mere saval-e-vasl2 par tum nazar jhuka kar khade hue ho
tumhin batao ye baat kya hai, saval poora, javab aadha
kabhi sitam hai kabhi karam hai, kabhi tavazajah3 kabhi tagaful4
ye saf zahir hai mujh pe ab tak, hua hoon main kamayaab aadha
1. vishvaas, 2. milne ki baat par, 3.dhyaan dena , 4. upeksha
|
|