* hawvva ki betiyan bhi sune meri baat ko *
hawvva ki betiyan bhi sune meri baat ko
mumakin nahin ki paal saken paanch saat ko
janm bhi liye to roengaye vo dal bhaat ko
tarakaeeb is liye sunen jab bhi raat ko
dekhe buri nazar se miyan aapki taraf
so jaayen aap fer ke munh doosari taraf
achchha hai jo ho bivi aur shauhar men taalamel
lekin na is qadar ki ho bachchon ki rel pel
har saal naunihaal ki dalo na dag bel
aakhair agar ho waqt to khelo kuch aur khel
is baat par kiya hai kabhi tumane gaur bhi
mardangayee dikhane ke maidan hain aur bhi
|