donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Nizami Jhansvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main Hu Shayar Meri Zindai Hai Ghazal *
Main Hu Shayar Meri Zindai Hai Ghazal 
Mene Apne Lahoon Se Likhi Hai Ghazal
Ba wazoo hoke padhna ise aap hi 
Sure Yaseen Padhke Likhi Hai Ghazal  
Kiski Ki Khadir Kahe Hum Ghazal Doston
Khud Ghazal Aajkal Keh Rahi Hai Ghazal
Rotiyon Ke Liye Meer Ke Shaher Mein 
Aaj Bazar Me Bik Rahi Hai Ghazal 
Sar Ke Ispe Dupatta Nahi Reh Gaya 
Rah Se Kiya Bhatakne Lagi Hai Ghazal
Mere Mishre Bhi Chhat Tak Pahunch Jayenge  
Chaat Pe Ab Aane Jane Lagi Hai Ghazal
Aap Jaise Adeebo ke Hote Huve 
Eik Ghazal Ke Liye Rorahi Hai Ghazal 
Wo Jo Shamil Hai Meri Har Ek Saans Me 
Mene Uske Liye Hi Likhi Hai Ghazal
Aap Mahir Hai Ye Bhi Nahi Jaante 
Rukh Hawa Ka Badalne Lagi Hai Ghazal 
(Mahir Nizami Jhansvi )
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 324