donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahir Nizami Jhansvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Adab Ke Naam Pe Dhabba nahi Lagate Hum *
Gazal :-

Adab Ke Naam Pe Dhabba nahi Lagate Hum
Ghazal ke sath Latife Nahi Sunate Hum

Hamara Kaam Haqiqat Bayaan Karna Hai
Sunehre Khwaab Kisi Ko Nahi Dikhate Hum

Tamaam Lafzo Ki Aankhon Se khoon tapakta Hai
Ghazal Kahin Bhi Purani Nahi Sunate Hum

Sarron Ki Phasle Har Ek Mod Pe Nazar Aati
Jo Bhai Chare Ke Paude Nahi Ugate Hum

Sitamgaro Me Hamara Shumar Mat Karna
Charag Ghar Ka Kisi Ke Nahi Bhujate Hum

Ye Aain Gain Ka Chakkar Tumhe Mubarak Ho
Musibaton Ko Gale Se Nahi Lagate Hum

Hum Apne Murde Bhi Karte Hai Dafan Mitti Mein
Kisi Ko Dosto Zinda Nahi Jalate Hum

Ajab Mizaj Hai Mahir Hamara Bachpan Se
Ameer zadon Ki Mehfil Nahi Sajate Hum

Mahir Nizami Mumbai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359