donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wohi deewaar o dar o baam wahi payrr magar *
Wohi deewaar o dar o baam wahi payrr magar
apne bichhrray huay chehron ko kahan se laaon

unki mitti hay,na khushbu hay,na saaya hay kahin
apne ttoottay huay rishton ko kahan se laaon

tere bettay, wo mere bhai hain aey sheher kahaan
apni baahon,teri aankhon ko kahaan se laaon

chilmano!yaad to hogi tumhen unki iffat
apni behnon ki duaaon ko kahan se laaon

ajnabi ban k main apna hi makaan takta hoon
aah! beetay huay lamhon ko kahan se laaon

meri dharti,meri basti,mere aabaa ki zameen
mera bachpan,meri yaaden,mujhe waapis karde
tujh se ab torrne aaya hoon main saare rishte

apni betti k taqadus ki hifaazat na kare
waqtparr jaay to bettiyon ka lahoo p jaay
aisi dharti se koi kaise ta'alluq rakhay

mera bachpan,meri yaaden,mujhe waapis karde
tujh se ab torrne aaya hoon main saare rishte
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372