donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir mausam e khayaal ki tthandi hawa chali *
Phir mausam e khayaal ki tthandi hawa chali
phir phelnay lagi teri khushbu gali gali

dil kaif e intizaar main yoon ddhal k reh gaya
paani main jaise gghul gaii ho barf ki ddali

kitne makaan jhaankti phirti hay chaandni
kia jaanay kisko ddhoonddti phirti hay manchali

tera khayaal garmiyon ki subha sa haseen
yaadon main teri sardiyon ki dhoop hay ddhali

weeraan hain aik umar se aankhon k gul kaday
usko to yaad aay bhi mud'dat hi ho chali

shab ko to "SHAM" chaand sitaaray bhi saath thay
parrne lagi jo dhoop to ik ik ne raah li
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386