* Umar guzri k teri dhun main chala tha darya *
Umar guzri k teri dhun main chala tha darya
jaa baja ghomta hay aaj bhi pagla darya
banti jati hain gohar kitni hi bhooli yaaden
ye mera dil hay k tthera hua gehra darya
na kisi mouj ka naghma hay na girdaab ka raqs
jaanay kia baat hay khamosh hay saara darya
thal k seenay pe pigghal jaati hay jab chaand ki barf
door tak rayt pe behta hay sunehra darya
ye hawaaon ki pur israar sada,haanpti shab
har taraf goonjtay sannattay pe tanha darya
haay wo rang bharay piyaar k maskan patan
haay wo naao se reh reh k lipatt'ta darya
SHAAM aakaash pe jab phelta hay din ka lahu
doob jata hay kisi soch main behta darya
|