donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naimaten deen kitni Rab ne kaise tum jhutlao gey *
Naimaten deen kitni Rab ne kaise tum jhutlao gey
aisi jannat rouyey hasti per kahan tum paao gey
apne ghar ki terah is ka dard bhi dil main rakkho
werna ik din dekhna tum be amaan hojao gey

ab tou hai pehchaan apni sirf Pakistan se
jaan main hai jaan apni sirf Pakistan se
is ka haasil apna haasil,our zayaan apna zayaan
ounchi neechi shaan apni sirf Pakistan se

ye ager mehfooz hai tou apne ghar mehfooz hai
ye ager mazboot hai tou apne darr mazboot hain
ye hai serferaaz tou dastaar apni serferaaz
ye ager masroor hai tou apne lab masroor hain

dil bhi ye hai ,jaan bhi ye hai,hum kahan is k bina
is ki izzat apni izzat,is main hai apni baqa
chund logon ka nahin hai,sab ka Pakistan hai
is ki doulat sab ki doulat,is pe haq her aik ka

apne ghar ki terah is ko har qadam chamkayen gey
jaante hain werna ik din be amaan hojayenge
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 426