donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Utth gaye rind, qareenay walay *
Utth gaye rind, qareenay walay
reh gaye aam se, peenay waalay

hain kahan, khaas thi masti jin ki
apni dunya main hi jeenay waalay

leher saahil se utthaa lay aaii
neend main gum thay, safeenay walay

ishq sadyon ki lagan maangta hay
hum maheenay k maheenay walay

sheher, barkat se huay hain khaali
ik nazar hum pe madeenay walay

be nawaaon se zameen par ronaq
hain faqat bojh khazeenay walay

liay phirte hain, dehekti aankhen
teri aankhon se na peenay walay

lout aaii thi basaarat foran
kaise kurtay thay paseenay walay
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376