donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Parinde or insaan *
Parinde or insaan
parindon or insaanon main kitni qurbatain hain
aur kitni aadaton main aik jaise hain
bahaar aaye to kitne chehchahate hain
khizaan ho to kitni khamoshi se kaat lete hain 

kabhi toofaan main ghir jaayen 
to ser gerdan main de k beth jaate hain 
duaain maangte hain k toofan ab to tall jaaye
ye ik din to nikal jaaye 
kabhi sooraj nikalne per 
kabhi sooraj nikalte hi
kabhi sooraj se pehle hi 
talash e aab o daana main nikal perte hain apne aashiyanon se
kisi din laut aate hain 
kisi din doob jaate hain

parindon or insaanon main qurbat ki gawahi pairr dete hain 
k donon ko ghana saaya derakhton se hi milta hai 
kabhi jheelon se in donon ki gehri piyaas ki poocho
jahan paani bhi milta hai 
aur apna aap bhi moujon main lehraata hua ye dekh sakte hain-
mager ik moar aisa hai 
jahan insan parindon se buhat hi mukhtalif maloom hota hai 
parinde bal k insaan se buhat hushiyaar lagte hain
k insaan doosray insaanon ko dhoka dete hain
kabhi ik doosray k phaansne ko jaal bunte hain 

mager ab tak kisi ne ye nahin dekha 
kabhi koi parinda jaal phaila ker 
kisi dooje parinde ko paker ker qaid main daalay
kisi ki jaan se khele
kisi se zindagi cheene .....
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 448