donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hum sab muntazir hain..... *
hum sab muntazir hain.....

hum sab muntazir hain.....mager kis k....?
hum ab sab muntazir hain
poori shiddat se 
mager kis k...?
khaber kis ko..?
mager sab muntazir hain

Samander!hum tumhare muntazir hain 
humare zarf gehraayi se aari hochuke hain
tumhain zehmet to hogi, aa k samjhao
k gehraayi main paani kaise behta hai ?
sukoon chehre pe daayim kaise rehta hai
wo jab aati hain poore chand ki raatain
to kaise josh aata hai?
kinaron se 
zamanay se 
baghawat kaise hoti hai?

Sitaron!hum tumhare muntazir hain
kisi din tum drawing room main utro
k sarkon pe to ab hum Aa nahin sakte
batao,ab humara kia muqadder hai
humare rehnuma kiun rehbari k fun se aari hain
tumhain zehmet to hogi inko samjhao
andhairay main kisi ko raasta kaise dikhate hain?
shabon main phailti aaloodgi se kis terah daaman bachate hain?

Parindo!hum tumhare muntazir hain
k hum to taaqat e perwaaz ab rekhte nahin hain
hum ik doosray k per to khud hi kaat dete hain
tumhain zehmet to hogi,aa k samjhao
peron ko qainchiyon se kis terah mehfooz rekhte hain 
shikaari ki nigaahain kis terah se bhaanp lete hain
jahan ho daam humrung zameen to kis terah urrna hai
azaadi bachaani hai
kisi bersaat se pehle
kisi toofaan se pehle
pohanch jaate hain kaise aashiaanon ghounslon main
aur unhain mausam ki shiddat se bachaate kis terah hain 
kis terah mazboot rekhte hain
Samander kab kisi k gher main aata hai 
Sitaare kab drawing room main utray
parindon ne kahan school khole hain

Mager hum to kisi k muntazir hain
najanay kon aayega?
na janay kab wo aayega
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389