donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ghir gaya hoon be tarha main khuaahishon k darmiyaan *
Ghir gaya hoon be tarha main khuaahishon k darmiyaan
jism k reze urraati aandhiyon k darmiyaan

kitne chehre,kitni shaklen, phir bhi tanhaaii wohi
kon lay aaya mujhe in aaiinon k darmiyaan

hum kahan yaaro,kahan wo moj e baad e naseem
waqt ki pinhaaiyaan haail dilon k darmiyaan

dil pe guzri jo,wo guzri, sheher kiun weeraan huay
aik dehshat si hay phayli raaston k darmiyaan

mudda'a pinhaan pas e alfaaz hay,jo parrh sako
kuch nahi paaogay tum in surkhiyon k darmiyaan

jaise khushbu sheher main,sehraa main jaise chaandni
yoon bikkhar jaata hoon main tanhaaiyon k darmiyaan

jiski khaatir shayr likhte ho,kabhi parrhti bhi hay
kab talak ulajhtay rahogay qaafiyon k darmiyaan

SHAM G bikkhre kabhi is dil k aangan main mehak
zindagi guzre gi kab tak aahatton k darmiyaan
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 490