donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kab mila, kon mila, or kahaan bhool gaye *
Kab mila, kon mila, or kahaan bhool gaye
dil ki weeraaniyaan, aankhon ka dhuaan bhool gaye

us ka har naqsh mittaa ddala hay loh e dil se
guftugu,lehja, zubaan, tarz e bayaan bhool gaye

ab kahaan yaad k wo baad e saba thi k naseem
fart e masti se lipattne ka samaan bhool gaye

sheher waalon ko sunaati thi sar e shaam hawa
dard k geet, udaasi ki zubaan bhool gaye

itne zoron pe thay kuch waqt k rangon k bhanwar
teri soorat, teri yaadon k nishaan bhool gaye

is qadar zabt k alfaaz huay be maani
itni khamoshi k andaaz fughaan bhool gaye

wo ujaala hay, dikhaaii nahin deta kuch bhi
wo tamaasha hay k weeraana e jaan bhool gaye

wo sadaa ab bhi ulatt deti hay is dil ka sukoon
laakh hum lehja,zubaan,tarz e bayaan bhool gaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417