donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nazar kisi ki nazar se nahi ulajhti thi *
nazar kisi ki nazar se nahi ulajhti thi
wo din bhi thay k yoonhi zindagi guzarti thi

sitaaray apne liay khuaahishon ki manzil thay
haseen raat humen chaandni pilaati thi

rahe thay apni hawaon main aik umar magar
bikkhar parre to har ik gaam apni hasti thi

yahi buhat tha k kuch log aakay kehte thay
wo mera zikar buhat mukhlisaana karti thi

nazar main piyaar bhi tha or takallufaat bhi thay
kaha karengay kabhi hum, ajeeb larrki thi

khamosh rehti thin gehre samandaron ki tarha
wo aankhen jin se nari shaaiiri bikkharti thi

usay milay to phir is baat ka suraagh mila
humen ye zindagi kiun itni piyaari lagti thi

na jaanay kitne hi safhon pe dil bikkhera magar
na keh sake to wo ik baat hi jo kehni thi

mehek to us k har ik payrhan main thi laikin
wo ghar k saada se kaprron main khoob lagti thi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 505