* mosam wo rang bo gaye hain *
mosam wo rang bo gaye hain
futt paath baagh hogaye hain
aaye hain aandhiyaan jo ban kar
misl e hawa hi reh gaye hain
aye dil! bikkhayr kuch andhera
hum roshni main kho aye hain
aankhen....pukaarte samandar
aksar mujhe dubogaye hain
aawaaz do k "Sham sahab
kin paaniyon main kho gaye hain"
itwaar bhi hay ik qayaamat
lamhay ...k saal hogaye hain
MEHMOOD SHAM ab chalo ghar
rastay bhi saare sogaye hain |