donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* mukaalmey se muhabbat ko dhoondne niklen *
mukaalmey se muhabbat ko dhoondne niklen

tera karam k hua na guzeer mera wujood
qareeb aane lage hain mere yahood o hanood

teri ataa k zamaney main aman ki khaatir
mila hai meri asaaker ko jazba e waafir

nawaah e arz main mujh ko mila hai aisa maqaam
miyaan e mashriq o maghrib,chale payam o salaam

mere kinaron pe milte hain Aisia o khaleej
yahan pe boye gaye sirf nafraton k beej

k zakhm zakhm hoon main - gham zada hain mere log
lahoo lahoo hain zameenein,gali gali hai soug

kasheedgi ka samaan ik taweel arsey tak
raha ufaq pe dhuaan ik taweel arsey tak

ab aik baar sukoon ko bhi aazmaayen hum
mukaalme se muhabbat ko dhoondne niklen

chiraagh e danish o idraak ab jalayen hum
dayar e qudus main rehmat ko dhoondne niklen 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381