donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jis din hum donon bichhrey thay *
jis din hum donon bichhrey thay
ashk bahatey, aahain bhartey
donon k dil kaanp rahe thay
ik lambi furqat k derr se

tere thandey rukhsaaron per
jese sarson phool rahi thi
is kalfet ki paishingoyi
us badsaa't ne kerdi thi

subhen shabnam k qatron se
meri palken heeg rahi thin
shayed ye berfeeli boonden
aainda gham batlaati thin

teri baaten kaan pari yun
jese maatam ki ghanti ho !
main ne akser socha k tum !
itni piyaari kiun lagti ho
jab chup chup ker hum milte thay
ab chup chup ker main rota hoon
itni patther dil kiun ho tum
soch k akser main rota hoon

khwaab huey sab waadey tere
nagar nagar badnaami phaili
main logon k taaney sun ker
hojata hoon paani paani

is furqat k baad ager hum
mil bhi jaayen khush bakhti se
kaise istaqbaal keroon main
ashkon se k khamoshi se
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403