donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mahmood Sham
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* phool ban ker teri har shaakh pe khilta main tha *
phool ban ker teri har shaakh pe khilta main tha
khushbooein tujh main uterti thin mehakta main tha
meri saanson main ghuli thin teri subhein shaamein
teri yadon main guzerta hua arsaa main tha
shor tha jese samander main ho girta deriya
our jab ghour se dekha to akela main tha
ehad e rafta tha idher our udher aainda
dono waqton ko milata hua lamha main tha
raat ki goud main serr rakh k zameen so jati
subah tak chaand k seene main dharakta main tha
apni hi aag main jab log jhulasne lagte
sab k hounton pe dua ban k ubherta main tha
jis pe deriya ne kinaron se baghawat kerdi
baarish e khoon ka wo akhri qatra main tha
aankh rakhta tha khuli our tabiat mouzoon
tajurbe doosre kerte thay sanwarta main tha
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404