donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majaz Farooqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aayi Thi Lahore Se Ek Mehjabeen Dilli Ko Jab.. *
Aayi Thi Lahore Se Ek Mehjabeen Dilli Ko Jab..

 

Sar Dupatte Se Dhaka Tha

Aur Aariz Surkh The

Baat Kaali Aankdhiyon ki

Aur Hawaaley Zulf Ke

Naak Ka Moti Chamak Kar

Kah Raha Tha Pyar Kar

Aankh Ka Kaajal Lapak Kar

Kholta Tha Baam-o-Darr

Narm Lahje Mein Haya Se Bolne Ka Haaye Dhabb

 

Aayi Thi Lahore Se Ek Mehjabeen Dilli Ko Jab..

 

Poochh Baithi Thi Wo Mujhse

Hai Kahan Qutbi Minaar

Lab Lagey The Kapkapaane

Dil Tha Dhadka Beshumaar

Sirf Ungli Se Ishaara Kar Diya Ke Us Taraf

Chal Pada Main Dheere Dheere Wo Gayi Phir Jis Taraf

Aa Gayi Manzil To Kuch Ruk Ruk Wo Chalne Lagi

Uske Rukne Se Hamaari Saans Bhi Rukne Lagi

Phir Mudi Wo , Muskuraayi, Has Ke Boli, Aur Ab?

 

Aayi Thi Lahore Se Ek Mehjabeen Dilli Ko Jab

 

Sakpakaa Ke , Dil Bacha Ke , Maine Bola "Kuch Nahin"

Aapko Aana Jahan Tha , Humko Tha Jaana Wahin

Sun Ke Meri Baat Wo Boli Hai Kya Ism-e-Shareef

Kah Diya Hai Naam Yusuf , Hun Nihayet Hi Shareef

Has Ke Boli Naam Chhoden , Kaam Kya Hai Ye Kahen

Bewajah Aur Khaamkhaah Yun Mere Peeche Na Rahen..

Hum Ke Kuch Kahte Magar Wo Aagey Aagey Badh Chali

Humne Bhi Socha Chalo Jooti Se Jhidki Hi Bhali

Pad Gayi Jooti Magar Waalid Ki Ghar Pahoche Jo Shab..

Aayi Thi Lahore Se Ek Mehjabeen Dilli Ko Jab..!
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 465