|
* Tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa *
Tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa,
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa,
bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa,
nafas nafas jinhe.n Khadshaa hai Duub jaane kaa,
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n,
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa.
|
|