donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majid Deobandi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai *
Saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai,
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai,


har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat,
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai,


allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye,
do roz se ghar me.n ko_ii mahamaan nahii.n hai,

[rizq = subsistence; barakat =good fortune]

ham ne to banaaye hai.n samandar me.n bhii raste,
yuu.N ham ko miTaana ko_ii aasaan nahii.n hai,

jis ko buzurgo.n kii rivaayat na rahe yaad,
us shaKhs kii logo.n ko_ii pahachaan nahii.n hai.



 
Comments


Login

You are Visitor Number : 580