donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Majrooh Sultanpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye ruke ruke se aaNsoo, ye dabii dabii sii aaheiN *
Ye ruke ruke se aaNsoo, ye dabii dabii sii aaheiN
yuuNhii kab talak Khudaayaa, gham-e-zindagii nibaaheiN

kahiiN zulmatoN meiN ghir ke, hai talaash-e-dast-e-rahbar
kahiiN jagmagaa uThii haiN, mire naqsh-e-paa se raaheiN

tire KhaanamaaN kharaaboN ka chaman koii na sahraa
ye jahaaN bhii baiTh jaayeiN, vahiiN inkii baargaaheiN

kabhii jaadah-e-talab se jo phiraa huuN dil-shikastah
tirii aarzoo ne haNs ke vahiiN Daal dii haiN baaheiN

mire ahd meiN nahiiN hai, ye nishaan-e-sarbulandii
ye range hue 'amaame, ye jhukii jhukii kulaaheiN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440