donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Makhdoom Mohiuddin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir chhiRii raat baat phooloN kii *
Phir chhiRii raat baat phooloN kii 
raat hai yaa baraat phooloN kii .

phool ke haar phool ke gajre 
shaam phooloN kii raat phooloN kii.

aap kaa saath saath phooloN kaa 
aap kii baat baat phooloN kii.

phool khilte raheNge duniya meiN
roz nikalegii baat phooloN kii. 

nazareN miltii haiN jaam milte haiN 
mil rahii hai hayaat phooloN kii.

ye mehakatii huyi ghazal 'Makhdoom' 
jaise sehraa meiN raat phooloN kii. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 446