donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Makhdoom Mohiuddin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek chambeli ke mandwey talEy *
Ek chambeli ke mandwey talEy 

maikadEy se zara duur uss moRh par 
dO badan pyaar ki aag meiN jal gaEy 
pyaar harf'e wafa, pyaar unka Khuda, pyaar unki chita 
oas meiN bheegt'e, chaandni meiN nahaat'e huEy 
jais'e dO taaza ruu taaza dumm phool pichl'e paher 
thandi thandi chaman ki subuk rao hawa sarf'e maatam huii 
kaali kaali latoN se lipat garm rukhsaar par eik pal ke liye ruk gaii 
hum ne deikha unheiN din meiN aur raat meiN, noor o zulmaat meiN 
masjidoN ke minaaroN ne deikha unheiN 
mandiroN ke kiwaaroN ne deikha unheiN 
maikad'e ki daraaRoN ne deikha unheiN
az azal taa abad 
yeh bataa chaara gar teiri zambeel meiN 
nuskhaEy keemiyaa'e mohabbat bhi hai 
kuch ilaaj o madaawaa'e ulfat bhi hai 

ek chambeili ke mandwEy tal'e 

maikadEy se zara duur uss moRh par 
dO badan pyaar ki aag meiN jal gaEy  
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 621