donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Makhmoor Saeedi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na rasta na koi Dagar hai yaha'n *
Na rasta na koi Dagar hai yahan 
magar sab ki qismat safar hai yahan 
sunai na degi dilo ki sada 
dimagoo main wo shor-o-shar hai yahan 
hawaon ki ungli pakar kar chalo 
wasila ik yahi motbar hai yahan 
na is shahar-e-behis ko sehra kaho 
suno ik humara bhi ghar hai yahan 
palak bhi jhapakte ho "Makhmoor" kyun 
tamasha bahut muKhtasar hai yahan 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 633