donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aql kar sakti hai nadeedah jaha'n ki tameer, *
aql kar sakti hai nadeedah jaha'n ki tameer,
yaani mumkin hai khalao'n mai'n makaa'n ki tameer!
 
is ka imkaan nahi soz balali ke beghair,
kaba-e-ishq mai'n sot-e-azaa'n ki tameer!
 
raah eeqaan ki tay kis se hui dil ke sewa,
aql to karti rahi wahm-o-gumaa'n ki tameer!
 
zindagi thi ke mosalsal rahi sargarm safar ,
raah mai'n hoti rahi sang-e-nishaa'n ki tameer!
 
moj-e-ayyam pe tamer ho ek ahad naya,
khoon-e-dil se ho agar khasht-e-makaa'n ki tameer!
 
Pahle dekhe gaye aashufta sari ke ahwaal,
phir mujhe so'npee gayee dasht-e-jahaa'n ki tameer!
 
Kam yeh bhi tha jigar kaawi ka Manzar sahab,
Itni aasaan na thi qasr-e-zobaa'n ki tameer!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361