donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Warq-e-sang pa phir sheeshe ki taqdeer na likh, *
Warq-e-sang   pa phir   sheeshe  ki  taqdeer  na  likh,
Zindagi  khwab  hai  is khwab    ki tabeer  na   likh!
 
Jazba-e-shauq  ki   tafheem   jo chahe  ker   le,
Dil  ki  betaab  tamannao’n   ki  tafseer  na  likh!
 
Jo haqeeqat   ke   taqazo’n   pe  na  poora  utrey,
Waqya  aisa   pas-e-pardah  tahreer  na   likh!
 
shama-e-ehsaas  jala     fikr-o-nazar  ki  lau  se,
apne  hisse’y  me  koi  lamha-e-shabgeer  na  likh!
 
Jis  ki  qismat  me  likhi   aablah   payee  too   na,
Uski   qismat  me  gira’n   bari-e-zanjeer  na  likh!
 
Loh-e - mahfooz    pe  likh  apney    karam   ki   fehrist,
Ye  khudi  tujh  ko  Mubarak,  meri  taqdeer  na  likh!
 
Soz-e-dil   bhar  de  har   ek  sher-e-ghazal   me “ Manzar”
Daman-e-gul  pe  magar  shola-e-taseer  na   likh!
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338