donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye sawan ki rimjhim rimjhim mast albeli dhoop ka mausam, *
Ye  sawan  ki   rimjhim  rimjhim  mast  albeli   dhoop  ka  mausam,
Neel   gagan   ki  oat  se   jhankey  chhail  chhabili  dhoop  ka  mausam!
 
Aankhon   ki  barkha  rut   mei’n   din  same   jo  mann  ke  deep   jale,
Chhaliya  ban  kar  chhalne  aaya  rang  rangeeli  dhoop  ka  mausam!
 
Raat  ki  bhigee  pariya'n  jaise  subah  sawery  par  phailaye,
Inderlok  se dekh rahi  hai  chubhti  kateeli   dhoop  ka mausam!
 
Apni  nazuk- wa- narm  ungli  se  chhoo  diya   kis  ne   taar   sitaar,
Chaunka   kis   ki   nain   kiran   se   meethi   raseeli   dhoop   ka   mausam!
 
Sanso’n   ki   mahkaar   se   bheege   gore   badan   ki   dheemi   sugandh,
palkon   palkon   sapney   parwai   madhur   raseeli   dhoop   ka  mausam!
 
Nas   nas   toote   kaanch   ki  karchhi,  lahoo   lahoo  chingari  bahey,
Mann   ki  tapti  rait   chuney   jab   tirchhi  nukeeli  dhoop  ka  mausam!
 
Jadu  bhari  hai  ab  bhi " Manzar"  kis  ki  yeh   khabidah  nigaah,
Kis  ke  roop  ki  parchhaye’n    hai  teekhi  nasheeli  dhoop  ka  mausam!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 439