donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Aijaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai pur-sakoon abhi bhi dil-e-ghayoor mera, *
Hai pur-sakoon abhi bhi dil-e-ghayoor mera,
Parakh raha hai tu kis zarf se shaoor mera!
 
Nigah-e-noor teri jalwah zaar-e-toor mera,
Tere khyaal se takra gaya shaoor mera!
 
Tere faraaz pe mera nasheeb hai mauqoof
Teri zameen se kab aasmaa’n hai door mera!
 
Utar sake to utar tu bhi mere sahra mai’n,
Qadam se apne yeh seena to kar oboor mera!
 
Tu apne parde ki khatir na mujh ko aryaa’n kar,
Tere hi ghaib ka imkaan hai zohoor mera!
 
 
Mai’n tero zarf-e-taghaful se aashna hi sahi,
Teri nigaah to bole koi qosoor mera!
 
Hai mujhme aaj bhi manzar, shaoor-e- khuddari,
Agarche zakhm-e-tamanna se dil hai choor mera!
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358